ḳhanjar ko rag-e-jāñ se guzarne nahīñ degā
vo shaḳhs mujhe chain se marne nahīñ degā
phir koī na.ī aas vo de jā.egā dil ko
TuuTe hue shīshe ko bikharne nahīñ degā
din Dhalte nikal aa.egā phir yaad kā sūraj
saaya mire āñgan meñ utarne nahīñ degā
har shaḳhs ko mehmān banā legā vo lekin
mujh ko kabhī ghar apne Thaharne nahīñ degā
rakkhegā na shāne pe mire haath vo apnā
zaḳhmoñ ko mire dil ke vo bharne nahīñ degā