tasvīr meñ rañg bhar rahe haiñ
milne kā irāda kar rahe haiñ
ḳhushiyāñ hī nahīñ thiiñ saath mere
ġham bhī mere ham-safar rahe haiñ
āñkheñ to khulī huī thiiñ phir bhī
har baat se be-ḳhabar rahe haiñ
koī rāhat milī na ahl-e-fan ko
ārām se be-hunar rahe haiñ
baaqī nahīñ dil meñ shauq-e-parvāz
muddat se be-bāl-o-par rahe haiñ
urdu sī zabāñ pe kuchh muḳhālif
har samt se vaar kar rahe haiñ
ik umr se ahl-e-dil ke Dere
talvār kī dhaar par rahe haiñ
mushtāq to jā chuke haiñ 'kausar'
ab kis liye ban-sañvar rahe haiñ