Maher Chand Kausar

aapas mein koi rabt ka imkan bhi na tha

Maher Chand Kausar

aapas meñ koī rabt kā imkān bhī na thā
donoñ taraf ye marhala āsān bhī na thā
chāragaroñ kī pursish-e-paiham ke bāvajūd
maiñ mutma.in na thā to pareshān bhī na thā
pahlū badal badal ke vo kartā thā guftugū
maiñ sab samajh rahā thā ki anjān bhī na thā
baat us kī dil meñ mere utartī chalī ga.ī
vo ajnabī thā aur mirā mehmān bhī na thā
kyuuñ mujh ko mezbānī kā mauqa na mil sakā
maiñ is qadar to be-sar-o-sāmān bhī na thā
vo kitnā sard-mehr thā mālūm ho gayā
va.ada-ḳhilāf ho ke pashemān bhī na thā
'kausar' amīr-e-shahr se milne meñ uzr kyuuñ
kuchh fā.eda nahīñ thā to nuqsān bhī na thā
Top Urdushayar.com