Maher Chand Kausar

dekhta bhi hai dekhta bhi nahin

Maher Chand Kausar

dekhtā bhī hai dekhtā bhī nahīñ
jaise vo mujh ko jāntā bhī nahīñ
kis tarah aaj ḳhud ko pahchānūñ
mere ghar meñ to aa.ina bhī nahīñ
dhaak thī saare shahr meñ jis kī
ab use koī pūchhtā bhī nahīñ
pīchhe muḌne meñ ḳhauf-e-rusvā.ī
aage jaane kā rāsta bhī nahīñ
roz ḳhabroñ meñ naam aatā hai
shahr meñ koī jāntā bhī nahīñ
ġhair se pūchhtā hai haal mirā
maiñ bulā.ūñ to boltā bhī nahīñ
us ko niklā huuñ DhūñDne 'kausar'
jis kā koī atā-patā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com