Maher Chand Kausar

phir mujhe hausla-e-arz-o-bayan mil jae

Maher Chand Kausar

phir mujhe hausla-e-arz-o-bayāñ mil jaa.e
kuchh dinoñ ke liye mujh ko bhī zabāñ mil jaa.e
sāmnā hogā to kuchh kah na sakeñge us se
jaane us bhiiḌ meñ vo shoḳh kahāñ mil jaa.e
ajnabī gaañv meñ phirtā huuñ ye ummīd liye
chhāñv darkār hai thoḌī sī jahāñ mil jaa.e
kyā tamāsha hai ki maiñ qasd-e-nasheman le kar
ghar se niklūñ to mujhe barq-e-tapāñ mil jaa.e
vahīñ aa jaatā hai nākāmī-e-qismat kā ḳhayāl
suud kī dil meñ tamannā ho ziyāñ mil jaa.e
kaash qāsid ko mirā haal sunāne ke liye
chand lamhoñ ke liye merī zabāñ mil jaa.e
mere ash.ār huuñ maqbūl-e-zamāna 'kausar'
mujh ko aisā kahīñ andāz-e-bayāñ mil jaa.e
Top Urdushayar.com