charche tire ḳhulūs ke duniyā meñ kam na the
phir bhī tire karam ke sazā-vār ham na the
hogā koī sharīr sā jhoñkā nasīm kā
jis ne tirī naqāb uThā.ī vo ham na the
muzmar thiiñ tere jaur meñ terī ināyateñ
tere sitam bhī terī navāzish se kam na the
us rāste pe chhoḌ gayā rāhbar mujhe
jis rāste pe aap ke naqsh-e-qadam na the
ma.asūmiyat ne jiinā bhī dushvār kar diyā
nā-karda-kār dil meñ kabhī itne ġham na the
kuchh bojh ban chukī thiiñ tirī kam-nigāhiyāñ
mahfil meñ intishār kā baa.is to ham na the
'kausar' ko bāryābī kā e.azāz mil gayā
pahle hī us pe aap ke ehsān kam na the