yuuñ shab-e-hijr terī yaad aa.ī
duur bajtī ho jaise shahnā.ī
aap apnī hañsī uḌātā huuñ
ḳhud tamāsha huuñ ḳhud-tamāshā.ī
jab zamāne ne saath chhoḌ diyā
apnī dīvāngī hī kaam aa.ī
kal junūñ kā mazāq uḌātī thī
ab junūñ se ḳhajil hai dānā.ī
aa.ina dil kā chuur chuur huā
aur āvāz tak nahīñ aa.ī
kitnā iThlā ke chal rahī hai sabā
terā paiġhām to nahīñ laa.ī
shā.iroñ meñ shumār ho jis se
mujh meñ vo baat abhī nahīñ aa.ī