bhare jahāñ meñ koī rāzdār bhī na milā
qarār DhūñDne nikle qarār bhī na milā
ye merī soḳhta-baḳhtī nahīñ to phir kyā hai
vo phuul laa.e to merā mazār bhī na milā
na jaane kaisī karāmat thī dast-e-sāqī meñ
ba-qaid-e-hosh koī hoshiyār bhī na milā
chaman chaman meñ udāsī kā bol-bālā hai
bahār kaisī nishān-e-bahār bhī na milā
bahut the aish ke lamhoñ meñ jāñ-nisār apne
paḌā jo vaqt koī ġham-gusār bhī na milā
maiñ apne gaañv meñ rah kar bhī ajnabī hī rahā
mujhe to apnoñ se thoḌā sā pyaar bhī na milā
ḳharāb hī rahī qismat ḳhizāñ-nasīboñ kī
bahār aa.ī to lutf-e-bahār bhī na milā
hañsī to apnā muqaddar na thī magar 'kausar'
hameñ to rone pe kuchh iḳhtiyār bhī na milā