Maher Chand Kausar

aain-e-asiri ke ye mear nae hain

Maher Chand Kausar

ā.īn-e-asīrī ke ye me.aar na.e haiñ
zindāñ to vahī hai dar-o-dīvār na.e haiñ
iḳhlās makīnoñ kā to dekhā nahīñ ab tak
haañ shahr ke sab kūcha-o-bāzār na.e haiñ
dushman se to kuchh ḳhauf na ab hai na kabhī thā
Dar ye hai ki ab mere taraf-dār na.e haiñ
baaqī nahīñ pahlī sī vo taqdīs-e-mohabbat
ab husn nayā us ke parastār na.e haiñ
pahchān liyā ham ne tumheñ rāh-numāo
bāteñ vahī pairāya-e-iz.hār na.e haiñ
sahmā huā sannāTā hai maḳhdūsh fazā.eñ
ab dekh ke chalegā ye āsār na.e haiñ
bāzār kī raunaq vahī pahlī sī hai 'kausar'
itnā hai ki is baar ḳharīdār na.e haiñ
Top Urdushayar.com