Maher Chand Kausar

tark-e-ulfat ka irada bhi nahin

Maher Chand Kausar

tark-e-ulfat kā irāda bhī nahīñ
un se iz.hār tamannā bhī nahīñ
vaqt kaTtā hī na thā jis ke baġhair
us ko muddat huī dekhā bhī nahīñ
jaisī guzrī hai ġhanīmat hai magar
zindagī terā bharosa bhī nahīñ
dil meñ rakhtā hai bahut kuchh lekin
baat kahne kī vo kahtā bhī nahīñ
ḳhuub saj-dhaj hai tumhārī phir bhī
dekhnā kaisā vo taktā bhī nahīñ
ghuur kar dekhtā rahtā hai mujhe
maiñ ne us ko kabhī dekhā bhī nahīñ
bāteñ kartā hai musalsal 'kausar'
roz miltā hai shanāsā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com