Maher Chand Kausar

na jaane kaun hai dekha hua sa lagta hai

Maher Chand Kausar

na jaane kaun hai dekhā huā sā lagtā hai
ik ajnabī hai magar āshnā sā lagtā hai
tazād-e-sūrat-o-sīrat pe ab yaqīñ aayā
vo bevafā hai magar bā-vafā sā lagtā hai
garāñ na guzrā thā aisā ye intizār kabhī
ab ek lamha bhī sabr-āzmā sā lagtā hai
unheñ umiid ho ta.amīl kī to kyuuñ kar ho
ki un kā hukm hī kuchh iltijā sā lagtā hai
ye phuul sāda-o-be-rañg hī sahī lekin
tumhāre joḌe meñ kyā ḳhushnumā sā lagtā hai
vo bhaa.ī bhaa.ī haiñ rahte haiñ ek hī ghar meñ
magar diyoñ meñ baḌā fāsla sā lagtā hai
vo tum vo maiñ vo lab-e-jū vo raat aur vo chāñd
ye ek ḳhvāb hī kitnā bhalā sā lagtā hai
na mujh meñ vasf na ḳhūbī na kuchh hunar phir bhī
tamām shahr mirā ham-navā sā lagtā hai
ye aaj shahr meñ kyā baat ho ga.ī 'kausar'
jise bhī dekhiye sahmā huā sā lagtā hai
Top Urdushayar.com