ab to ik umr huī yaad na kar luuñ ḳhud ko
huuñ kahīñ zehn meñ ījād na kar luuñ ḳhud ko
vo ḳharāba ki jahāñ koī na ho mere sivā
us ḳharābe meñ hī ābād na kar luuñ ḳhud ko
jaane kis lamha-e-pur-dard kī yaad aa.ī hai
rote rote yūñhī barbād na kar luuñ ḳhud ko
vahī tanhā.ī kā aalam vahī sayyād kā ḳhauf
apnā zindāñ huuñ to āzād na kar luuñ ḳhud ko
hashr ke ba.ad bhī rahnā hai zamīñ par mujh ko
maiñ jahāñ-zād zamīñ-zād na kar luuñ ḳhud ko
ye jo khīñche liye jaatā hai bayābāñ kī taraf
dil ko ḳhadsha hai ki ābād na kar luuñ ḳhud ko
mil hī jā.ūñgā ga.e vaqt meñ ik din 'shāriq'
lauh-e-imkān pe īzād na kar luuñ ḳhud ko