Shariq Jamal

tere husn-o-jamal tak pahuncha

Shariq Jamal

1969
tere husn-o-jamāl tak pahuñchā
maiñ bhī kitne kamāl tak pahuñchā
ba.ad muddat ke zehn-e-āshufta
ek nāzuk-ḳhayāl tak pahuñchā
ai mire shauq-e-be-misāl mujhe
aaj us be-misāl tak pahuñchā
ik zavāl-e-urūj se ho kar
maiñ urūj-e-zavāl tak pahuñchā
zehn āzād ho gayā merā
jab yaqīñ ehtimāl tak pahuñchā
tazkira husn ke tanāsub kā
phir tire ḳhadd-o-ḳhāl tak pahuñchā
ik muamma thā merā mustaqbil
kitnī mushkil se haal tak pahuñchā
is tarah maiñ tire qarīb aayā
jaise mumkin muhāl tak pahuñchā
ye havas bhī kamāl tak pahuñchī
vo badan bhī kamāl tak pahuñchā
ik gila zindagī ke hone kā
hote hote malāl tak pahuñchā
ik ḳhalish sī rahī kahīñ dil meñ
hijr jab bhī visāl tak pahuñchā
thā azal se savāl ke andar
jo javāb ab savāl tak pahuñchā
'shāriq' is ishq ke vasīle se
maiñ jalāl-o-jamāl tak pahuñchā
Top Urdushayar.com