Shariq Jamal

hai makin koi dusra mujh mein

Shariq Jamal

1969
hai makīñ koī dūsrā mujh meñ
mujh se bhī kuchh hai māvarā mujh meñ
sho.ala-e-tūr jal bujhā mujh meñ
kaash mil jaa.e ab ḳhudā mujh meñ
mujh ko mujh se judā kiyā ya.anī
us ne ḳhud ko milā diyā mujh meñ
zehn-o-dil kī hadoñ se duur kahīñ
bāb-e-imkāñ koī khulā mujh meñ
shab ko vo ḳhud supurdagī us kī
jaise ik raaz khul gayā mujh meñ
mujh ko ehsās hī nahīñ thā magar
maiñ hī thā vo jo mar gayā mujh meñ
apnā nām-o-nishāñ nahīñ miltā
tujh se mil kar ye kyā huā mujh meñ
harf-e-haq jis kā ḳhauf thā mujh ko
kah diyā kis ne barmalā mujh meñ
mere lab par baqā kā giit rahā
go panaptī rahī fanā mujh meñ
nāravā kī to baat kyā kiije
ab ravā bhī nahīñ ravā mujh meñ
merī taqsīm baar baar huī
ab to maiñ bhī nahīñ rahā mujh meñ
terī sachchā.ī mo.ajiza Thahrī
khul gayā jo fareb thā mujh meñ
vaqt kaise miTā.egā mujh ko
vo to zanjīr ho chukā mujh meñ
har taġhayyur hai merā parvarda
aur kuchh bhī nahīñ nayā mujh meñ
us ko paane ke ba.ad bhī jaise
us ko paane kā ḳhauf thā mujh meñ
hai baḌe ma.arke kā ran 'shāriq'
ek hañgāma hai bapā mujh meñ
Top Urdushayar.com