ḳhud pe ilzām dhar gayā huuñ maiñ
kaam mushkil thā kar gayā huuñ maiñ
kaisī dahshat se bhar gayā huuñ maiñ
ḳhvāb meñ jaise Dar gayā huuñ maiñ
jaane kis shai kī hai talāsh mujhe
kū-ba-kū dar-ba-dar gayā huuñ maiñ
mujh ko ab kaise pā sakegā koī
vaqt thā aur guzar gayā huuñ maiñ
mere chāroñ taraf añdherā hai
kyā batā.ūñ kidhar gayā huuñ maiñ
kal bhī kuchh dard kam na thā lekin
aaj to jaise mar gayā huuñ maiñ
ab zamīñ par na jaane kyā hogā
āsmāñ se utar gayā huuñ maiñ
be-ḳhabar hī jahāñ meñ aayā thā
aur yūñhī be-ḳhabar gayā huuñ maiñ
ba.ad muddat ke ḳhud ko yaad aayā
ba.ad muddat ke ghar gayā huuñ maiñ
garche mahdūd thā magar 'shāriq'
shash-jihat meñ bikhar gayā huuñ maiñ