zamāne bhar kī kitāboñ meñ qaid rahtā huuñ
ḳhirad ke kohna nisāboñ meñ qaid rahtā huuñ
tire jamāl ke sab bhed jaan kar bhī maiñ
na jaane kyuuñ tire ḳhvāboñ meñ qaid rahtā huuñ
tire badan meñ haiñ kitnī qayāmateñ pinhāñ
baḌe shadīd azāboñ meñ qaid rahtā huuñ
karūñ bhī kaise bhalā dasht-e-āgahī kā safar
ki maiñ yaqīñ ke sarāboñ meñ qaid rahtā huuñ
vo tū ki pairahan-e-kā.enāt chaak kare
vo maiñ ki itne hijāboñ meñ qaid rahtā huuñ
hai mauj-e-vaqt qafas aur zindagī sayyād
maiñ lamha lamha habāboñ meñ qaid rahtā huuñ
vo zindagī ho ki aqlīm-e-zāt ho 'shāriq'
na jaane kaise ḳharāboñ meñ qaid rahtā huuñ