dast-e-junūñ jo band-e-qabā tak pahuñch gayā
josh-e-bahār husn-e-sabā tak pahuñch gayā
mujh par khulā jo bāb-e-rumūz-e-ḳhud-āgahī
maiñ ḳhud se ho ke zehn-e-ḳhudā tak pahuñch gayā
aayā na zindagī kī haqīqat kā sañg-e-mīl
maiñ sarhad-e-dayār-e-fanā tak pahuñch gayā
us but kī hai atā ki mirā tamtarāq-e-harf
me.arāj-e-hamd-o-mad.h-o-sanā tak pahuñch gayā
ahd-e-bahār meñ asar-e-sohbat-e-jamāl
mere junūñ kī āb-o-havā tak pahuñch gayā
kuchh is tarah se faash huā vo ki aa.ina
har aks rāz-e-husn-o-adā tak pahuñch gayā
kal bazm meñ darāzī-e-shab kī chalī jo baat
maiñ rāz-dāñ thā zulf-e-rasā tak pahuñch gayā
thī aql ham-rikāb so merā junūn-e-shauq
bhar kar zaqand arsh-o-samā tak pahuñch gayā
gūñjī sadā-e-sākit-o-ḳhāmosh har taraf
jab maiñ fareb-e-koh-e-nidā tak pahuñch gayā
'shāriq' ḳhabar nahīñ mirī fitrat kā har amal
kyuuñ zulmat-e-gunāh-o-sazā tak pahuñch gayā