chashm be-ḳhvāb huī shahr kī vīrānī se
dil utartā hī nahīñ taḳht-e-sulaimānī se
pahle to raat hī kaaTe se nahīñ kaTtī thī
aur ab din bhī guzartā nahīñ āsānī se
ham ne ik dūsre ke aks ko jab qatl kiyā
ā.īna dekh rahā thā hameñ hairānī se
ab ke hai lab-e-āb hī mar jā.eñge
pyaas aisī hai ki bujhtī hī nahīñ paanī se
aañkh pahchāntī hai lūTne vāloñ ko magar
kaun pūchhegā mirī be-sar-o-sāmānī se
yūñhī dushman nahīñ dar aayā mire āñgan meñ
dhuup ko raah milī peḌ kī uryānī se
koī bhī chiiz salāmat na rahe ghar meñ 'salīm'
fā.eda kyā hai bhalā aisī nigahbānī se