safar kī ibtidā huī ki terā dhyān aa gayā
mirī zamīñ ke sāmne ik āsamān aa gayā
ye faisla huā mirī shanāḳht ā.īna kare
magar ye kis kā aks hai jo darmiyān aa gayā
ajiib uljhanoñ meñ ab ke sā.ateñ guzar ga.iiñ
nisāb yaad bhī nahīñ aur imtihān aa gayā
hisār-e-sail-e-āb se to naav bach ga.ī magar
havā ke haath sāhiloñ pe bādbān aa gayā
nigāh aur rāste ke dukh to raushnī se the
charāġh bujh ga.e to merā mehmān aa gayā
tirī sadā pe mujh ko lauTnā thā jañg chhoḌ kar
magar vo ek tiir jo sar-e-kamān aa gayā
maiñ bām-o-dar se pūchh aa.uuñ koī aayā to nahīñ
'salīm' raat Dhal ga.ī mirā makān aa gayā