Saleem Kausar

ghubar hoti sadi ke sahraon se ubharte hue zamane

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
ġhubār hotī sadī ke sahrāoñ se ubharte hue zamāne
na.e zamānoñ meñ aa.e tujh ko talāsh karte hue zamāne
udaas shāmoñ kī sard rātoñ meñ tere ushshāq dekhte haiñ
palak jhapakte hue darīchoñ meñ sub.h karte hue zamāne
agar ye sab kārobār-e-hastī tirī tavajjoh se haT gayā hai
to phir ye kis ne sambhāl rakkhe haiñ sab bikharte hue zamāne
bisāt-e-imkān par taġhayyur kā husn mohre badal rahā hai
charāġh-e-hairat kī lau meñ zinda haiñ raqs karte hue zamāne
zamīn sūraj ke gird apne madār meñ ghūmtī hai jaise
tirī galī kā tavāf karte haiñ yuuñ guzarte hue zamāne
Top Urdushayar.com