ik ghaḌī vasl kī be-vasl huī hai mujh meñ
kis ke aane kī ḳhabar qatl huī hai mujh meñ
saañs lene se bhī bhartā nahīñ siine kā ḳhalā
jaane kyā shai hai jo be-daḳhl huī hai mujh meñ
jal uThe haiñ sar-e-mizhgāñ tirī ḳhushbū ke charāġh
ab ke ḳhvāboñ kī ajab fasl huī hai mujh meñ
mujh se bāhar to faqat shor hai tanhā.ī kā
varna ye jañg to dar-asl huī hai mujh meñ
tū ne dekhā nahīñ ik shaḳhs ke jaane se 'salīm'
is bhare shahr kī jo shakl huī hai mujh meñ