Saleem Kausar

kuchh bhi tha sach ke taraf-dar hua karte the

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
kuchh bhī thā sach ke taraf-dār huā karte the
tum kabhī sāhab-e-kirdār huā karte the
sunte haiñ aisā zamāna bhī yahāñ guzrā hai
haq unheñ miltā jo haqdār huā karte the
tujh ko bhī zo.am sā rahtā thā masīhā.ī kā
aur ham bhī tire bīmār huā karte the
ik nazar roz kahīñ jaal bichhā.e rakhtī
aur ham roz giraftār huā karte the
ham ko ma.alūm thā aanā to nahīñ tujh ko magar
tere aane ke to āsār huā karte the
ishq karte the faqat pās-e-vafā rakhne ko
log sach-much ke vafādār huā karte the
ā.īna ḳhud bhī sañvartā thā hamārī ḳhātir
ham tire vāste tayyār huā karte the
ham gul-e-ḳhvāb sajāte the dukān-e-dil meñ
aur phir ḳhud hī ḳharīdār huā karte the
kūcha-e-'mīr' kī jānib nikal aate the sabhī
vo jo 'ġhālib' ke taraf-dār huā karte the
jin se āvārgī-e-shab kā bharam thā vo log
is bhare shahr meñ do-chār huā karte the
ye jo zindāñ meñ tumheñ saa.e nazar aate haiñ
ye kabhī raunaq-e-darbār huā karte the
maiñ sar-e-dasht-e-vafā ab huuñ akelā varna
mere ham-rāh mire yaar huā karte the
vaqt ruk ruk ke jinheñ dekhtā rahtā hai 'salīm'
ye kabhī vaqt kī raftār huā karte the
Top Urdushayar.com