Saleem Kausar

charagh-e-yaad ki lau ham-safar kahan tak hai

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
charāġh-e-yād kī lau ham-safar kahāñ tak hai
ye raushnī mirī dahlīz par kahāñ tak hai
bas ek tum the ki jo dil kā haal jānte the
so ab tumheñ bhī hamārī ḳhabar kahāñ tak hai
musāfirān-e-junūñ gard ho ga.e lekin
khulā nahīñ ki tirī rahguzar kahāñ tak hai
har ek lamha badaltī huī kahānī meñ
hikāyat-e-ġham-e-dil mo'tabar kahāñ tak hai
zamīñ kī āḳhirī had par pahuñch ke sochtā huuñ
yahāñ se mausam-e-dīvār-o-dar kahāñ tak hai
bichhaḌne vāloñ ko andāza hī nahīñ hotā
tū ham-safar hai magar ham-safar kahāñ tak hai
ajiib log haiñ āzādiyoñ ke maare hue
qafas meñ pūchhte phirte haiñ ghar kahāñ tak hai
Top Urdushayar.com