lau ko chhūne kī havas meñ ek chehra jal gayā
sham.a ke itne qarīb aayā ki saayā jal gayā
pyaas kī shiddat thī sairābī meñ sahrā kī tarah
vo badan paanī meñ kyā utrā ki dariyā jal gayā
kyā ajab kār-e-tahayyur hai supurd-e-nār-e-ishq
ghar meñ jo thā bach gayā aur jo nahīñ thā jal gayā
garmi-e-dīdār aisī thī tamāshā-gāh meñ
dekhne vāloñ kī āñkhoñ meñ tamāshā jal gayā
ḳhud hī ḳhākistar kiyā us ne mujhe aur us ke baad
mujh se ḳhud hī pūchhtā hai bol kyā kyā jal gayā
sirf yād-e-yār baaqī rah ga.ī dil meñ 'salīm'
ek ik kar ke sabhī asbāb-e-duniyā jal gayā