tum ne sach bolne kī jur.at kī
ye bhī tauhīn hai adālat kī
manzileñ rāstoñ kī dhuul huiiñ
pūchhte kyā ho tum masāfat kī
apnā zād-e-safar bhī chhoḌ ga.e
jaane vāloñ ne kitnī ujlat kī
maiñ jahāñ qatl ho rahā huuñ vahāñ
mere ajdād ne hukūmat kī
pahle mujh se judā huā aur phir
aks ne ā.īne se hijrat kī
merī āñkhoñ pe us ne haath rakhā
aur ik ḳhvāb kī mahūrat kī
itnā mushkil nahīñ tujhe paanā
ik ghaḌī chāhiye hai fursat kī
ham ne to ḳhud se intiqām liyā
tum ne kyā soch kar mohabbat kī
kaun kis ke liye tabāh huā
kyā zarūrat hai is vazāhat kī
ishq jis se na ho sakā us ne
shā.erī meñ ajab siyāsat kī
yaad aa.ī to hai shanāḳht magar
intihā ho ga.ī hai ġhaflat kī
ham vahāñ pahle rah chuke haiñ 'salīm'
tum ne jis dil meñ ab sukūnat kī