koī yaad hī raḳht-e-safar Thahre koī rāhguzar anjānī ho
jab tak mirī umr javān rahe aur ye tasvīr purānī ho
koī naav kahīñ mañjdhār meñ Duube chāñd se uljhe aur udhar
maujoñ kī vahī halqa-bandī dariyā kī vahī tuġhyānī ho
isī raat aur din ke mele meñ tirā haath chhuTe mire hāthoñ se
tire saath tirī tanhā.ī ho mire saath mirī vīrānī ho
yuuñ ḳhāna-e-dil meñ ik ḳhushbū ābād hai aur lau detī hai
jo bād-e-shimāl ke pahre meñ koī tanhā raat kī raanī ho
kyā DhūñDte haiñ kyā kho baiThe kis ujlat meñ haiñ log yahāñ
sar-e-rāh kuchh aise milte haiñ jaise koī rasm nibhānī ho
ham kab tak apne hāthoñ se ḳhud apne liye dīvār chuneñ
kabhī tujh se hukm-udūlī ho kabhī mujh se nā-farmānī ho
kuchh yādeñ aur kitābeñ hoñ mirā ishq ho aur yārāne hoñ
isī āb-o-havā meñ rahnā ho aur saarī umr bitānī ho