dast-e-duā ko kāsa-e-sā.il samajhte ho
tum dost ho to kyuuñ nahīñ mushkil samajhte ho
siine pe haath rakh ke batāo mujhe ki tum
jo kuchh dhaḌak rahā hai use dil samajhte ho
har shai ko tum ne farz kiyā aur is ke ba.ad
saa.e ko apnā madd-e-muqābil samajhte ho
dariyā tumheñ sarāb dikhā.ī diyā aur ab
gard-o-gubār-e-rāh ko manzil samajhte ho
ḳhush-fahmiyoñ kī had hai ki paanī meñ ret par
jo bhī jagah mile use sāhil samajhte ho
tanhā.ī jalva-gāh-e-tahayyur hai aur tum
vīrāniyoñ ke raqs ko mahfil samajhte ho
jis ne tumhārī niiñd pe pahre biThā diye
apnī taraf se tum use ġhāfil samajhte ho