Saleem Kausar

kahani likhte hue dastan sunate hue

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
kahānī likhte hue dāstāñ sunāte hue
vo so gayā hai mujhe ḳhvāb se jagāte hue
diye kī lau se chhalaktā hai us ke husn kā aks
siñgār karte hue ā.īna sajāte hue
ab is jagah se ka.ī rāste nikalte haiñ
maiñ gum huā thā jahāñ rāsta batāte hue
pukārte haiñ unheñ sāhiloñ ke sannāTe
jo log Duub ga.e kashtiyāñ banāte hue
phir us ne mujh se kisī baat ko chhupāyā nahīñ
vo khul gayā thā kisī baat ko chhupāte hue
mujhī meñ thā vo sitāra-sifat ki jis ke liye
maiñ thak gayā huuñ zamāne kī ḳhaak uḌāte hue
mazāroñ aur muñDeroñ ke rat-jagoñ meñ 'salīm'
badan pighalne lage haiñ diye jalāte hue
Top Urdushayar.com