tū sūraj hai terī taraf dekhā nahīñ jā saktā
lekin dekhne vāloñ ko rokā nahīñ jā saktā
ab jo lahar hai pal bhar baad nahīñ hogī yaanī
ik dariyā meñ dūsrī baar utrā nahīñ jā saktā
ab bhī vaqt hai apnī ravish tabdīl karo varna
jo kuchh hone vaalā hai sochā nahīñ jā saktā
us kī galī meñ jaane se use milne se ḳhud ko
rokā jā saktā hai par rokā nahīñ jā saktā
kisī ko chāhat aur kisī ko nafrat mārtī hai
koī bhī ho use marte to dekhā nahīñ jā saktā
ek taraf tire husn kī hairat ek taraf duniyā
aur duniyā meñ der talak Thahrā nahīñ jā saktā