tujh se baḌh kar koī pyārā bhī nahīñ ho saktā
par tirā saath gavārā bhī nahīñ ho saktā
paañv rakhte haiñ phisal saktā hai miTTī ho ki ret
har kinārā to kinārā bhī nahīñ ho saktā
us tak āvāz pahuñchnī bhī baḌī mushkil hai
aur na dekhe to ishāra bhī nahīñ ho saktā
tere bandoñ kī ma.īshat kā ajab haal huā
aish kaisā ki guzārā bhī nahīñ ho saktā
apnā dushman bhī dikhā.ī nahīñ detā ho jise
aisā lashkar to saf-ārā bhī nahīñ ho saktā
husn aisā ki chakā-chauñd huī haiñ āñkheñ
hairat aisī ki nazārā bhī nahīñ haiñ āñkheñ
vaise vo shaḳhs hamārā to kabhī thā hī nahīñ
dukh to ye hai ki tumhārā bhī nahīñ ho saktā
duniyā achchhī bhī nahīñ lagtī ham aisoñ ko 'salīm'
aur duniyā se kinārā bhī nahīñ ho saktā