Saleem Kausar

milna na milna ek bahana hai aur bas

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
milnā na milnā ek bahāna hai aur bas
tum sach ho baaqī jo hai fasāna hai aur bas
logoñ ko rāste kī zarūrat hai aur mujhe
ik sañg-e-rahguzar ko haTānā hai aur bas
masrūfiyat ziyāda nahīñ hai mirī yahāñ
miTTī se ik charāġh banānā hai aur bas
so.e hue to jaag hī jā.eñge ek din
jo jāgte haiñ un ko jagānā hai aur bas
tum vo nahīñ ho jin se vafā kī ummīd hai
tum se mirī murād zamāna hai aur bas
phūloñ ko DhūñDtā huā phirtā huuñ baaġh meñ
bād-e-sabā ko kaam dilānā hai aur bas
aab o havā to yuuñ bhī mirā mas.ala nahīñ
mujh ko to ik daraḳht lagānā hai aur bas
nīndoñ kā rat-jagoñ se ulajhnā yūñhī nahīñ
ik ḳhvāb-e-rā.egāñ ko bachānā hai aur bas
ik vaada jo kiyā hī nahīñ hai abhī 'salīm'
mujh ko vahī to vaada nibhānā hai aur bas
Top Urdushayar.com