Saleem Kausar

ijz-e-KHak-sari kyun faKHr-e-kaj-kulahi kya

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
ijz-e-ḳhāk-sārī kyuuñ faḳhr-e-kaj-kulāhī kyā
jab mohabbateñ kī haiñ phir koī gavāhī kyā
ham rutoñ ke mujrim haiñ har havā kī nazroñ meñ
terī pārsā.ī kyā merī be-gunāhī kyā
tum to aañkh vaale the aks mil gayā hogā
maiñ sadā kā be-chehra merā ā.īna hī kyā
vasl kā koī lamha rā.egāñ nahīñ lekin
jo alag na kartā ho aisā rāsta hī kyā
shab-gazīda logoñ ko niiñd se ulajhnā hai
raat kī masāfat meñ razm-e-sub.h-gāhī kyā
jaane kab bigaḌ jaa.eñ jaane kab sañvar jaa.eñ
dast-e-kūza-gar meñ haiñ apnā aasrā hī kyā
tum 'salīm' shā.ir ho shohratoñ pe mat jaao
masnad-e-faqīrī pe ḳhabt-e-bādshāhī kyā
Top Urdushayar.com