Saleem Kausar

wahan mahfil na sajai jahan KHalwat nahin ki

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
vahāñ mahfil na sajā.ī jahāñ ḳhalvat nahīñ kī
us ko sochā hī nahīñ jis se mohabbat nahīñ kī
ab ke bhī tere liye jaañ se guzar jā.eñge ham
ham ne pahle bhī mohabbat meñ siyāsat nahīñ kī
tum se kyā vāda-ḳhilāfī kī shikāyat karte
tum ne to lauT ke aane kī bhī zahmat nahīñ kī
dhaḌkaneñ siine se āñkhoñ meñ simaT aa.ī thiiñ
vo bhī ḳhāmosh thā ham ne bhī vazāhat nahīñ kī
raat ko raat hī is baar kahā hai ham ne
ham ne is baar bhī tauhīn-e-adālat nahīñ kī
gard-e-ā.īna haTā.ī hai ki sachchā.ī khule
varna tum jānte ho ham ne baġhāvat nahīñ kī
bas hameñ ishq kī āshufta-sarī khīñchtī hai
rizq ke vāste ham ne kabhī hijrat nahīñ kī
aa zarā dekh leñ duniyā ko bhī kis haal meñ hai
ka.ī din ho ga.e dushman kī ziyārat nahīñ kī
tum ne sab kuchh kiyā insān kī izzat nahīñ kī
kyā huā vaqt ne jo tum se ri.āyat nahīñ kī
Top Urdushayar.com