Saleem Kausar

wusat hai wahi tangi-e-aflak wahi hai

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
vus.at hai vahī tañgi-e-aflāk vahī hai
jo ḳhaak pe zāhir hai pas-e-ḳhāk vahī hai
ik umr huī mausam-e-zindāñ nahīñ badlā
rauzan hai vahī dīda-e-namnāk vahī hai
kyā chashm-e-rafū-gar se shikāyat ho ki ab tak
vahshat hai vahī sīna-e-sad-chāk vahī hai
har chand ki hālāt muāfiq nahīñ phir bhī
dil terī taraf-dārī meñ saffāk vahī hai
ik haath kī jumbish meñ dar-o-bast hai varna
gardish vahī kuuza hai vahī chaak vahī hai
jo kuchh hai mire paas vo merā nahīñ shāyad
jo maiñ ne gañvā dī mirī imlāk vahī hai
zoroñ pe 'salīm' ab ke hai nafrat kā bahāv
jo bach ke nikal aa.egā tairāk vahī hai
Top Urdushayar.com