kaise hañgāma-e-fursat meñ mile haiñ tujh se
ham bhare shahr kī ḳhalvat meñ mile haiñ tujh se
saa.e se saayā guzartā huā mahsūs huā
ik ajab ḳhvāb kī hairat meñ mile haiñ tujh se
itnā shaffāf nahīñ hai abhī aks-e-dil-o-jāñ
ā.īne gard-e-masāfat meñ mile haiñ tujh se
is qadar tañg nahīñ vus.at-e-sahrā-e-jahāñ
ham to ik aur hī vahshat meñ mile haiñ tujh se
juz ġham-e-ishq koī kaam nahīñ hai so ai husn
jab mile ik na.ī hālat meñ mile haiñ tujh se
vaqt kā sail-e-ravāñ rok hī leñge shāyad
vo jo phir milne kī hasrat meñ mile haiñ tujh se
itnā ḳhush-fahm na ho apnī pazīrā.ī par
ham kisī aur mohabbat meñ mile haiñ tujh se
yaad kā zaḳhm bhī ham tujh ko nahīñ de sakte
dekh kis ālam-e-ġhurbat meñ mile haiñ tujh se
ab agar lauT ke aa.e to zarā Thahreñge
ham musāfir haiñ so ujlat meñ mile haiñ tujh se