phir jī uThe haiñ jis se vo imkān tum nahīñ
ab jo bhī kar rahā hai ye ehsān tum nahīñ
mujh meñ badal rahā hai jo ik ālam-e-ḳhayāl
us lamha-e-junūñ ke nigahbān tum nahīñ
bujhte hue charāġh kī lau jis ne tez kī
vo aur hī havā hai mirī jaan tum nahīñ
phir yuuñ huā ki jaise girah khul ga.ī koī
mushkil to bas yahī thī ki āsān tum nahīñ
tum ne sunī nahīñ hai sadā-e-shikast-e-dil
ham jhelte rahe haiñ ye nuqsān tum nahīñ
tum se to bas nibāh kī sūrat nikal paḌī
jis se hue the vaada o paimān tum nahīñ
ḳhush-fahmiyoñ kī baat alag hai magar ye ghar
jis ke liye sajā hai vo mehmān tum nahīñ
ye ālam-e-zuhūr hai hijrat-zada 'salīm'
ham bhī dukhī haiñ sirf pareshān tum nahīñ