Saleem Kausar

kya bataen fasl-e-be-KHwabi yahan bota hai kaun

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
kyā batā.eñ fasl-e-be-ḳhvābī yahāñ botā hai kaun
jab dar-o-dīvār jalte hoñ to phir hotā hai kaun
tum to kahte the ki sab qaidī rihā.ī pā ga.e
phir pas-e-dīvār-e-zindāñ rāt-bhar rotā hai kaun
bas tirī bechārgī ham se nahīñ dekhī ga.ī
varna haath aa.ī huī daulat ko yuuñ khotā hai kaun
kaun ye pātāl se le kar ubhartā hai mujhe
itnī tahdārī se mujh par munkashif hotā hai kaun
koī be-tartībī-e-kirdār kī had hai 'salīm'
dāstāñ kis kī hai zeb-e-dāstāñ hotā hai kaun
Top Urdushayar.com