vo jo ham-rahī kā ġhurūr thā vo savād-e-rāh meñ jal-bujhā
tū havā ke ishq meñ ghul gayā maiñ zamīñ kī chaah meñ jal-bujhā
ye jo shāḳh-e-lab pe hujūm-e-rañg-e-sadā khilā hai galī galī
kahīñ koī sho.ala-e-be-navā kisī qatl-gāh meñ jal-bujhā
jo kitāb-e-ishq ke baab the tirī dastaras meñ bikhar ga.e
vo jo ahd-nāma-e-ḳhvāb thā vo mirī nigāh meñ jal-bujhā
hameñ yaad ho to sunā.eñ bhī zarā dhyān ho to batā.eñ bhī
ki vo dil jo mahram-e-rāz thā kahāñ rasm-o-rāh meñ jal-bujhā
kahīñ be-niyāzī kī laag meñ kahīñ ehtiyāt kī aag meñ
tujhe merī koī ḳhabar bhī hai mire ḳhair-ḳhvāh maiñ jal-bujhā
mirī raakh se na.ī raushnī kī hikāyatoñ ko sameT le
maiñ charāġh-e-sub.h-e-visāl thā tirī ḳhema-gāh meñ jal-bujhā
vo jo harf-e-tāza-misāl the unheñ jab se tū ne bhulā diyā
tirī bazm-e-nāz kā bāñkpan kisī ḳhānqāh meñ jal-bujhā