abhī hairat ziyāda aur ujālā kam rahegā
ġhazal meñ ab ke bhī terā havāla kam rahegā
mirī vahshat pe sahrā tañg hotā jā rahā hai
kahā to thā ye āñgan lā-mahāla kam rahegā
bhalā vo husn kis kī dastaras meñ aa sakā hai
ki saarī umr bhī likkheñ maqāla kam rahegā
bahut se dukh to aise bhī diye tum ne ki jin kā
mudāvā ho nahīñ saktā izāla kam rahegā
vo chāñdī kā ho sone kā ho yā phir ho lahū kā
'salīm' ahl-e-havas ko har nivāla kam rahegā