is ālam-e-hairat-o-ibrat meñ kuchh bhī to sarāb nahīñ hotā
koī niind misāl nahīñ bantī koī lamha ḳhvāb nahīñ hotā
ik umr numū kī ḳhvāhish meñ mausam ke jabr sahe to khulā
har ḳhushbū aam nahīñ hotī har phuul gulāb nahīñ hotā
is lamha-e-ḳhair-o-shar meñ kahīñ ik saa.at aisī hai jis meñ
har baat gunāh nahīñ hotī sab kār-e-savāb nahīñ hotā
mire chaar taraf āvāzeñ aur dīvāreñ phail ga.iiñ lekin
kab terī yaad nahīñ aatī aur jī be-tāb nahīñ hotā
yahāñ manzar se pas-e-manzar tak hairānī hī hairānī hai
kabhī asl kā bhed nahīñ khultā kabhī sachchā ḳhvāb nahīñ hotā
kabhī ishq karo aur phir dekho is aag meñ jalte rahne se
kabhī dil par aañch nahīñ aatī kabhī rañg ḳharāb nahīñ hotā
mirī bāteñ jīvan sapnoñ kī mire sher amānat nasloñ kī
maiñ shaah ke giit nahīñ gaatā mujh se ādāb nahīñ hotā