Saleem Kausar

wo jo aae the bahut mansab-o-jagir ke sath

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
vo jo aa.e the bahut mansab-o-jāgīr ke saath
kaise chup-chāp khaḌe haiñ tirī tasvīr ke saath
sirf zindāñ kī hikāyat hī pe ma.amūr nahīñ
ek tārīḳh safar kartī hai zanjīr ke saath
ab ke sūraj kī rihā.ī meñ baḌī der lagī
varna maiñ ghar se nikaltā nahīñ tāḳhīr ke saath
tujh ko qismat se to maiñ jiit chukā huuñ kab kā
shāyad ab ke mujhe laḌnā paḌe taqdīr ke saath
ab kisī aur gavāhī kī zarūrat hī nahīñ
jurm ḳhud bol rahā hai tirī tahrīr ke saath
dekhte kuchh haiñ dikhāte hameñ kuchh haiñ ki yahāñ
koī rishta hī nahīñ ḳhvāb kā tābīr ke saath
ab jahāñ terī imārat kī hadeñ miltī haiñ
ek buḌhiyā kā makāñ thā usī jāgīr ke saath
ye to honā hī thā mahtāb-e-tamāshā phir bhī
kitne dil TuuT ga.e haiñ tirī tasḳhīr ke saath
yaad bhī abr-e-mohabbat kī tarah hotī hai
ek saayā sā chalā jaatā hai rahgīr ke saath
Top Urdushayar.com