Saleem Kausar

wo aankhen jin se mulaqat ek bahana hua

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
vo āñkheñ jin se mulāqāt ik bahāna huā
unheñ ḳhabar hī nahīñ kaun kab nishāna huā
sitāra-e-saharī kā bharosa mat kiijo
na.e safar meñ ye raḳht-e-safar purānā huā
na jaane kaun sī ātish meñ jal bujhe ham tum
yahāñ to jo bhī huā hai darūn-e-ḳhāna huā
kuchh is tarah se vo shāmil huā kahānī meñ
ki is ke baad jo kirdār thā fasāna huā
usī sitāre ne bhaTkā diyā sar-e-manzil
safar pe jo mirī tahvīl meñ ravāna huā
sunā hai tujh ko to ham yaad bhī nahīñ aate
ye imtihāñ to nahīñ ye to āzmānā huā
hameñ to ishq muqaddar hai jaise rizq 'salīm'
so chal paḌeñge jahāñ apnā āb-o-dāna huā
Top Urdushayar.com