aab o havā hai barsar-e-paikār kaun hai
mere sivā ye mujh meñ giraftār kaun hai
ik raushnī sī raah dikhātī hai har taraf
dosh-e-havā pe sāhib-e-raftār kaun hai
ik ik kar ke ḳhud se bichhaḌne lage haiñ ham
dekho to jā ke qāfila-sālār kaun hai
bosīdgī ke ḳhauf se sab uTh ke chal diye
phir bhī ye zer-e-sāya-e-dīvār kaun hai
qadmoñ meñ saa.e kī tarah rauñde ga.e haiñ ham
ham se ziyāda terā talabgār kaun hai
phailā rahā hai dāman-e-shab kī hikāyateñ
sūraj nahīñ to ye pas-e-kohsār kaun hai
kyā shai hai jis ke vāste TuuTe paḌe haiñ log
ye bhiiḌ kyuuñ hai raunaq-e-bāzār kaun hai
ai dil ab apnī lau ko bachā le ki shahr meñ
tū jal-bujhā to terā azā-dār kaun hai
ab tak isī ḳhayāl se so.e nahīñ 'salīm'
ham so ga.e to phir yahāñ bedār kaun hai