Saleem Kausar

na koi nam o nasab hai na goshwara mera

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
na koī naam o nasab hai na goshvāra mirā
bas apnī āb-o-havā hī pe hai guzāra mirā
mirī zamīñ pe tire āftāb raushan haiñ
tire falak pe chamaktā hai ik sitāra mirā
jo chāhtā hai vo tasḳhīr kar le duniyā ko
kisī bhī shai pe nahīñ hai yahāñ ijāra mirā
maiñ ham-kanār huā ek lahar se aur phir
kināre hī meñ kahīñ gum huā kināra mirā
bas ek lamhā-e-benām kī giraft meñ haiñ
na jaane kaisā ta.alluq hai ye tumhārā mirā
to phir jo nafā hai maiñ us meñ kyuuñ nahīñ shāmil
agar yahāñ kā ḳhasāra hai sab ḳhasāra mirā
jo dhyān tak nahīñ detā hai merī bātoñ par
samajh rahā hai vahī shaḳhs to ishāra mirā
kahīñ ḳhushī kī numā.ish meñ rakh diyā jā kar
kal us ne basta-e-ġham taaq se utārā mirā
vahī hai til vahī ruḳhsār haiñ vahī tū hai
magar nahīñ hai samarqand aur buḳhārā mirā
maiñ baad o bārāñ se ātish kashīd kartā huuñ
ki aab o ḳhaak kī tamsīl hai idāra mirā
ab aa gayā huuñ to sochā sadā lagātā chalūñ
kise ḳhabar yahāñ aanā na ho dobāra mirā
darūn-e-ḳhāna koī bhī nahīñ kisī kā 'salīm'
pe dekhne meñ to lagtā hai shahr saarā mirā
Top Urdushayar.com