badal gayā hai sabhī kuchh us ek saa.at meñ
zarā sī der hameñ ho ga.ī thī ujlat meñ
mohabbat apne liye jin ko muntaḳhab kar le
vo log mar ke bhī marte nahīñ mohabbat meñ
maiñ jāntā huuñ ki mausam ḳharāb hai phir bhī
koī to saath hai is dukh-bharī masāfat meñ
use kisī ne kabhī bolte nahīñ dekhā
jo shaḳhs chup nahīñ rahtā mirī himāyat meñ
badan se phuuT paḌā hai tamām umr kā hijr
ajiib haal huā hai tirī rifāqat meñ
mujhe sambhālne meñ itnī ehtiyāt na kar
bikhar na jā.ūñ kahīñ maiñ tirī hifāzat meñ
yahāñ pe log haiñ mahrūmiyoñ ke maare hue
kisī se kuchh nahīñ kahnā yahāñ muravvat meñ