kahīñ tum apnī qismat kā likhā tabdīl kar lete
to shāyad ham bhī apnā rāsta tabdīl kar lete
agar ham vāqa.ī kam-hausla hote mohabbat meñ
maraz baḌhne se pahle hī davā tabdīl kar lete
tumhāre saath chalne par jo dil raazī nahīñ hotā
bahut pahle ham apnā faisla tabdīl kar lete
tumheñ in mausamoñ kī kyā ḳhabar miltī agar ham bhī
ghuTan ke ḳhauf se aab o havā tabdīl kar lete
tumhārī tarah jiine kā hunar aatā to phir shāyad
makān apnā vahī rakhte patā tabdīl kar lete
vahī kirdār haiñ taaza kahānī meñ jo pahle bhī
kabhī chehra kabhī apnī qabā tabdīl kar lete
judā.ī bhī na hotī zindagī bhī sahl ho jaatī
jo ham ik dūsre se mas.ala tabdīl kar lete
hamesha kī tarah is baar bhī ham bol uThe varna
gavāhī dene vaale vāqi.a tabdīl kar lete
bahut dhundlā gayā yādoñ kī rim-jhim meñ dil-e-sāda
vo mil jaatā to ham ye ā.īna tabdīl kar lete