maiñ use tujh se milā detā magar dil mere
mere kuchh kaam nahīñ aa.e vasā.il mere
vo junūñ-ḳhez masāfat thī ki dekhā hī nahīñ
umr bhar paañv se lipTī rahī manzil mere
tū milā hai to nikal aa.e haiñ dushman saare
vaqt kis kis ko uThā laayā muqābil mere
abr-e-girya ne vo tūfān uThā.e ab ke
mere dariyāoñ ko kam paḌ ga.e sāhil mere
jitnā hal kartā huuñ utnā hī bigaḌ jaate haiñ
tū nahīñ jāntā ai dost masā.il mere
ishq meñ haar ke ma.anī hī badal jaate haiñ
tujh ko mālūm nahīñ hai abhī qātil mere
be-ant safar merā muqaddar hai 'salīm'
mujh meñ tai kartā hai ye kaun marāhil mere