na is tarah koī aayā hai aur na aatā hai
magar vo hai ki musalsal diye jalātā hai
kabhī safar kabhī raḳht-e-safar gañvātā hai
phir is ke baad koī rāsta banātā hai
ye log ishq meñ sachche nahīñ haiñ varna hijr
na ibtidā na kahīñ intihā meñ aatā hai
ye kaun hai jo dikhā.ī nahīñ diyā ab tak
aur ek umr se apnī taraf bulātā hai
vo kaun thā maiñ jise rāste meñ chhoḌ aayā
ye kaun hai jo mire saath saath aatā hai
vahī tasalsul-e-auqāt toḌ degā ki jo
dar-e-ufuq pe shab-o-roz ko milātā hai
jo āsmān se rāteñ utārtā hai 'salīm'
vahī zamīñ se kabhī āftāb uThātā hai