Saleem Kausar

tujhse baDh kar koi pyara bhi nahin ho sakta

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
tujh se baḌh kar koī pyārā bhī nahīñ ho saktā
par tirā saath gavārā bhī nahīñ ho saktā
rāsta bhī ġhalat ho saktā hai manzil bhī ġhalat
har sitārā to sitārā bhī nahīñ ho saktā
paañv rakhte hī phisal saktā hai miTTī ho ki ret
har kinārā to kinārā bhī nahīñ ho saktā
us tak āvāz pahuñchnī bhī baḌī mushkil hai
aur na dekhe to ishāra bhī nahīñ ho saktā
tere bandoñ kī ma.īshat kā ajab haal huā
aish kaisā ki guzārā bhī nahīñ ho saktā
apnā dushman hī dikhā.ī nahīñ detā ho jise
aisā lashkar to saf-ārā bhī nahīñ ho saktā
pahle hī lazzat-e-inkār se vāqif nahīñ jo
us se inkār dobāra bhī nahīñ ho saktā
husn aisā ki chakā-chaund huī haiñ āñkheñ
hairat aisī ki nazzārā bhī nahīñ ho saktā
chaliye vo shaḳhs hamārā to kabhī thā hī nahīñ
dukh to ye hai ki tumhārā bhī nahīñ ho saktā
duniyā achchhī bhī nahīñ lagtī ham aisoñ ko 'salīm'
aur duniyā se kinārā bhī nahīñ ho saktā
Top Urdushayar.com