Saleem Kausar

qurbaten hote hue bhi faslon mein qaid hain

Saleem Kausar

Panipat, Haryana, India

1945
qurbateñ hote hue bhī fāsloñ meñ qaid haiñ
kitnī āzādī se ham apnī hadoñ meñ qaid haiñ
kaun sī āñkhoñ meñ mere ḳhvāb raushan haiñ abhī
kis kī nīndeñ haiñ jo mere ratjagoñ meñ qaid haiñ
shahr ābādī se ḳhālī ho ga.e ḳhushbū se phuul
aur kitnī ḳhvāhisheñ haiñ jo diloñ meñ qaid haiñ
paañv meñ rishtoñ kī zanjīreñ haiñ dil meñ ḳhauf kī
aisā lagtā hai ki ham apne gharoñ meñ qaid haiñ
ye zamīñ yūñhī sikuḌtī jā.egī aur ek din
phail jā.eñge jo tūfāñ sāhiloñ meñ qaid haiñ
is jazīre par azal se ḳhaak uḌtī hai havā
manziloñ ke bhed phir bhī rāstoñ meñ qaid haiñ
kaun ye pātāl se ubhrā kināre par 'salīm'
sar-phirī maujeñ abhī tak dā.eroñ meñ qaid haiñ
Top Urdushayar.com